Thursday, January 21, 2016

Improve English Tips

Improve English Tips



‘Don’t learn English to speak, but speak English to learn’. Jee haa Preey spoken English seekhne wale vidhyarthiyo krupya dhyan dijiye ki ‘angrezy bolne ke liye na seekhiye, parantu angrezy seekhne ke liye avashya boliye.’ Aap apni angrezy ko kis prakar behtar bana sakte hai,
yeh baat nirbhar karti hai, ki aap angrezy bolne wale samooh ke saath rahte hai ya nahi. Yadi aap angrezy pratidin sunte hai tatha angrezy bolne wale logo ke sath swatantra roop se mishrit hote hai to yeh aapki angrezy viksit karne ke liye poorn roop se laabhdaayak hai. Iske viprit kabhi hum yeh bhi anubhav kar sakte hai ki sampoorn bhasha hum par ek hi baar me udel di gai hai. Is uljhan se bachne ke liye aadarsh roop se ek panktibaddh pathyakram ke saath angrezy bolna seekhne ke is anubhav ki or aage badha ja sakta hai.
Kai vidhyarthi Spoken English Class me angrezy bolne me dar mehsoos karte hai. Angrezy bolna seekhne hetu bolna hoga. Tairna seekhne wala vyakti pani ke paas me jane se darega to vah tairna nahi seekh sakega. Yaad rakhiye ‘Bhasha ko bolna seekha nahi jata apitu pick up arthat grahan kiya jata hai’. Yadi aap English spoken class me yeh sochkar hichkichahat mehsoos karte hai ki yadi aap class me angrezy bolenge to sabhi aap par hasenge ki aap galat English bolt hai, to yeh sochiye ki anya sabhi vidhyarthi bhi to angrezy seekhne hi aaye hai. Yadi ve sabhi sahi bol sakte to phir kyu class join karte. Dariye nahi galat hi boliye, usme bhi aap kuch na kuch avashya hi seekhenge. Nishchit hi ek din sahi bolna bhi seekh hi jayenge. Hume bhi ek bachche ki tarah kisi ko bade dhyan se sunkar uska anukaran karne ki avashyakta hai. Thokre hi insaan ko chalna sikhati hai. Jab Insaan chand par ja sakta hai to English seekhkar bolna to bahut hi chhoti si baat hai. Nidar hoker boliye. Safalta nishchit hi milegi. Yaad rakhiye ki dar ke aage jeet hai. And also always keep in mind that "The more we listen English, the more we will speak, and the more we speak English, the more we will learn English." (Jitni adhik hum angrezy sunenge, utni adhik hum bolenge, or jitni adhik hum angrezy bolenge, utni adhik hum seekhenge.)
Yadi iske sath hi aap angrezy akhbar ya visheshkar angrezy kahani ki pustake padhte rahte hai to yeh bhi aapko angrezy bolna sikhane me nishchit roop se sahaayak hai. Pustak pathan ka mahatva hum hamari agli post me prakashit karenge. Kuchh logo ki ye manyata hoti hai ki boli jane wali va likhi jane wali angrezy me antar hota hai. Vastav me aisa nahi hai. Apitu likhi jane wali tatha boli jane wali angrezy me gehri samaanta hai.
  Apni angrezy bhasha ko or pragaadh banane ke liye Grammar, Syntax, evam Vocabulary ko or adhik mazboot banaiye. Hamesha yaad rakhiye ki “Practice makes a man perfect.” At the end we can conclude that....
1-      Revise and complete your grammar - (English Grammar poorn kijiye va dohraiye.)
2-      Do reading - (English Passages, Composition padhte rahiye.)
3-      Do listening – (English bolne wale logo ko bade hi dhyan se suniye.)
4-      Use your vocab – (Apne vocab ko daily conversation me prayog kijiye.)
5-      Always try to talk in English (Hamesha English me baat karne ki koshish kijiye.)