Monday, January 19, 2015

Wah wah kya baat hai



Here are some hindi lines for your speech.

1.      Jab tootne lage hosle to bus itna yaad rakhna,
bina mehnat k hasil takhto taaj nahi hote.
Dhoondh lena andhero me bhi manzil apni,
jognoo kabhi roshni k mohtaaj nahi hote.

2.      Manzile unhi ko milti hai, jinke irado me jaan hoti hai.
Pankho se kuchh nahi hota hai, hoslo se udaan hoti hai.

3.      Badi dheet hai safalta ki chidiya, dharatal nahi ye gagan mangti hai.
Nahi kisi ko mili raah chalte, safalta parishram lagan mangti hai.
 
4.      Milegi parindo ko manzil, ye unke par bolte hai.
Rehte hai kuchh log khamosh, lekin unke hunar bolte hai.
 
5.      Zindagi ki asli udaan abhi baaki hai, hamare irado ka imtihaan abhi baaki hai.
Abhi to naapi hai kuchh mutthi bhar zameen, aage saara aasmaan abhi baaki hai.
6.      Hawao se keh do apni had me rahe,
 kyuki hum pankho se nahi hoslo se uda karte hai.

7.      Nazar ko badlo to nazaare badal jaate hai, soch ko badlo to sitaare badal jaate hai.
Kashtiya badalne ki zarurat nahi, sirf dishao ko badlne se kinare badal jaate hai.
 
8.      Hawa me taash ka ghar nahi banta, rone se bigda mukaddar nahi banta.
Duniya jeetne ka hosla rakh e dost, sirf ek jeet se koi sikandar nahi banta.
 
9.      Do akshar ka hota hai luck.
Dhai akshar ka hota hai bhagya. 
Saadhe teen akshar ki hoti hai kismat. 
Magar ye sab chhar akshar ki mehnat se hi hote hai.
 
10.  Shaam sooraj ko dhalna sikhaati hai.
Shama parvane ko jalna sikhaati hai. 
Girne wale ko dard to hota hai. 
Par thokre hi insaan ko chalna sikhaati hai.