Wednesday, April 15, 2015

Speech - Swatchh Bharat Abhiyan

Tranlate the following speech in English language.
Swatchh Bharat Abhiyan
 Swathchh Bharat  Abhiyan ka shubharambh 2 october 2014 ko pradhan mantri Shri Narendra ji Modi ne Rajghat me kiya. Is avsar par Pradhan Mantri ne swayam Delhi ki sadak ki safaai ki. Yeh swatchhta sambandhi bharat ka sabse bada abhiyan hai. Swatchh Bharat ka nirman karna shri Narendra Modi k sath hum sabhi deshvasiyo ka sankalp hona chahiye.  Swatchhata dharm ka ek hissa hai. Hum sabhi ko yeh aabhas karne ki avashyakta hai ki, ishvar ne is sansar ko kitna khubsurat banaya hai. Kahi manohar jharne, jheele kahi sunder parvat, kahi hare bhare jangal, to kahi sunder maidan ishvar ne banaye hai. Anek prakratik, sunder va manohar sthalo se is sansar ki rachna ishvar ne ki, parantu badle me insan is sundar sansar ko kya kar raha hai, ki gandagi phelakar iski khubsurati ko bigad raha hai. Is sansar ki sunderta ko nasht kar raha hai. Apne swarth k liye insan pedo ko kat raha hai, nadiyo ko pradushit kar raha hai, dhvani pradushan evam vayu pradushan phela raha hai. Parinamswaroop hum kuposhit, aswasthya, evam bechen ho rahe hai. Is prakaar davaiya, ilaj, evam anya roop me hamare samay, jivan, evam dhan ki haani ho rahi hai. Atah Hume  swatchhata ki or avashya dhyan dena chahiye.
Kai log saaf safaai k karya ko bahut halka va tuchh maante hai. Parantu yeh karya koi tuchh karya nahi hai, apitu ek bahut hi mahan karya hai. Yeh karya kisi sanstha, ya vibhag  athva kisi samaj ka nahi hai, yeh karya pratyek deshvasi ka hai. Yeh karya hum sabhi ka hai. Yeh karya hum sabhi ko karna hoga. Avashyakta is baat ki hai ki pratyek deshvasi jagruk ho. Swatchhta sambandhi apne kartavya ko samjhe.
 Swatchhata ko drashtigat rakhte huve bharat sarkar ne kai websites prarambh ki hai, social media dvara ‘Swatchhata Sandesh’ jan jan tak pahuchaya ja raha hai. Is abhiyaan k antargat pahle gandagi wale sthaan ka photo, tatha fir us sthaan ki safaai ki gai vah photo, evam phir usi swatchh sthaan ki photo khichkar sambandhit website me upload karna hai. Is abhiyan k samarthan me desh k kai bade naayak, khiladi, school va college k vidhyarthi, kai sarkari va samajik sangathan sadko par safaai k liye utar rahe  hai. Gandagi wale sthan ko saaf kar, podharopan kar rahe hai, evam swatchhata sambandhi vibhinn karyakramo k zariye nagriko ko swatchhata ka mahatva  samjhaate huve unhe jaagruk kar rahe hai. Nagar me sarvajanik sthano par anivarya roop se dust bin ki vyavastha evam uplabdhata ho. Pratyek vyakti kachra yaha vaha na phekte huve kachra peti me hi daale. Pratyek vyakti anivarya roop se kam se kam ek poudha prativarsh lagaye.
                 Manniya Pradhan mantri shri Narendra ji Modi k shabdo me “Agar bharatwasi kam se kam kharch me mars me pahuch sakte hai, to kya bharatwasi apna gali mohalla saaf nahi kar sakte hai!” Pratyek deshvasi ka tan saaf ho, man mashtishk me bure vichar roopi gandagi na panapne de. Desh me garibi, bhrashtachar, mahangai, berozgari aadi gandagi k liye bhi koi jagah na ho. Desh ka Pratyek graam va nagar swatchh va hara bhara ho, taaki ek swatchh bharat  ka nirman ho. Bharat sunderta evam swatchhata k sambandh me anya viksit desho k saath baraabari kar sake. 

No comments:

Post a Comment