1 Chalte rahenge
path par , chalne me mahir ban jaenge,
Ya to manzil mil
jayegi, ya phir achchhe musafir ban jaenge.
2 Sidiyo unhe Mubarak ho, jinhe sirf
chhat tak jana hai,
Hamari
manzil to aasman hai, rasta hume khud banana hai.
3 Hosle buland kar rasto pe chal de,
tujhe tera mukaam mil jaega,
Badhkar
akela tu pahal kar, dekhkar tujhko kafila khud ban jaega.
4 Jivan me safalta paane ka ek raaz hai,
Jo kuchh karna hai waqt uska aaj hai,
Yeh
kabhi na dekh k beech me kitne toofan hai,
Tu to bhari
barisho me bhi udne wala baaz hai.
5 Bina lakshya k jeene walo ki zindagi
kaha ameer hoti hai,
Jab
mil jati hai kaamyabi to naam hi sabse badi jaageer hoti hai.
6 Jo muskura raha hai use dard ne paala
hoga,
Jo
chal bhi raha hai uske paav me chhala hoga,
Bina
sangharsh k insaan chal nahi sakta,
Jo
jalega usi Deepak me hi to ujala hoga.
7 Saamne ho manzil to raaste na modna,
Jo
bhi man me ho vo sapna na todna,
Kadam
kadam pe milegi mushkile aapko,
Bus
sitare chhune k liye kabhi zameen na chhodna.
No comments:
Post a Comment